Pages

khud ko khojne ka safar

Tuesday, March 24, 2009

maan ki baat

Dard ek samunder sa mere dil may rahta hai,
Har pal jeevan ka iski aagosh may kat ta hai
Atah,anant sa,jiska koi or chor nahi hai
Jahan mere siwa door door tak koi aur nahi hai
Mera rom rom ismay doob ke kho khuka hai
Jaise mai iska he hissa hoon yahi mera aastitav hai
Aisa nahi ke kosis he na ki ho bahar aane ki
Har baar larahro ne wapas mujhe khicha hai,
Ab to adat si ho gaye hai is tarah he jinne ki,
Na koi khushi ki eksha hai na koi tamanna hai

No comments:

Post a Comment